Monday, February 21, 2011

Najaney Shaks tha kaisa.


 Najaney Shaks tha kaisa..

urdu
Meri ankhon pe merta tha
Meri baton pe hansta tha
Najaney shkas tha kaisa
Muje khoney se darta tha
Muje jab be wo milta tha
Yahe hr bar kehta tha
Suno
Agar mein bhol jaon to
Agar mein rooth jaon tho
Kabi Wapis na aon toRead the rest of this entry »

Ye Jo Bikhra Bikhra Sa Shaks Hai …

Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan
kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa
kbhi dastaras k qareeb qareeb
kbhi door … paas … kahin nahi
ye jo ukhra ukhra sa shaks hai
 

No comments:

Post a Comment

Ratings and Recommendations by outbrain